~ LG’s Poetry Compilation ~

60322 views 2476 replies
Reply to Topic
London_Girl

Age: 124
Total Posts: 18948
Points: 0

Location:
United Kingdom, United Kingdom
Muskura Kar Mila Karo Ham Se
Kuch KAha Aur Suna Karo Ham Se

Bat KArne Se Bat Barhti Hai
Roz Baatain Kiya Karo Ham Se

Dushmani Se Mile ga Kiya Tum Ko
Dost Ban Kar Raha Karo Ham Se

Daikh Laite Hain Sat Pardon Main
Yun Na parda Kiya Karo Ham Se
Posted 29 Sep 2006

Dunya Ki Lambi Rahoon Per Hum Yoon To Chaltay Jatay Hain

Kuch Aaisay Loog Bhi Miltay Hain Jo Yaad Hameesha Aatay Hain

Woh Rah Badaltay Hain Apni Aur Mur Ker Haath Hilatay Hain

Lakin Woh Diloon Ko Yadoon Ki Khushboo Bun Ker Mehkatay Hain

Aaisay Hi Safar Kertay Kertay, Ek Shakhas Mila Hum Ko Bhi Kahein

Dunya Main Achay Loog Bohat , Lakin Us ki Si Baat Nahin

Woh Dheemay Lehjay Wala Tha Aur Dheeray Say Hunsta Tha

Jitnay Bhi Loog Milay Hum Ko , Such Jano, Sab Say Acha Tha

Thi Laag Na Us Kay Boloon Main ,Ki Baat Na Koi Lagawat Ki

Us Kay Fiqray Tootay Tootay , Us Ki Aankhien Khooyee Khooyee Si

Keh Ker Hi Na Day Jo Hum Chahein , Soocha Hi Keray Betha Betha

Per Dekhay Aaisi Nermi Say Ek Baar To Ho Jayay Dhooka

Goo Saath Humara Khoob Raha , Us Ko Na Hui Pehchan Bohat

Gar Boojh Lay Dil Ki Baat Kabhi , Ho Jata Tha Hairaan Bohat

Hum Us ki Hairani Per Sherminda Ho Ker Reh Jatay

Kuch Aur Humara Matlab Tha , Phir Dair Talak Yeah Samjhatay

Aab Chehra Us Ka Ujla Hoo Ya Aankhein Us Ki Hoon Gehree

Ya Us Kay Pyaray Hontoon Ki Her Baat Lagay Thehri Thehri

Kuch Loog Jo Achay Hotay Hain Aur Rahoon Main Mil Jatay Hain

Hain Un Apnay Kaam Bohat , Kab Apna Waqat Ganwatay Hain

Kab Pyasay Pyasay Rehtay Hain , Kab Jee Ko Roog Lagatay Hain

Posted 28 Feb 2007


Weerani

Asar Kuch Bhi Tera Hurf-E-Shikaybai Nahin Kerta
Yeah Marhum Meray Zakhmoon Ki Maseehayee Nahin Kerta
Najanay Kaisi Weerani Basi Hay Apni Aankhoon Main
Koi Manzar Nigahoon Ki Pazayrayee Nahin Kerta
Kabhi Abad Thi Dil Main Mussarrat Aur Aab Yoon Hai
Kay Ghum Bhi Is Khandar Main Buzm Arayee Nahin Kerta
Yeah Kaisa Sheher Hai Kya Bay Murawwat Loog Hain Is Kay
Yahan Koi Humaray Saath Achayee Nahin Kerta
Sada Aatee Hai Ek Umer Say Dil Kay Parinday Ki
Yeah Taair Muddatoon Say Naghma Sirayee Nahin kerta
Bus Aab Khamosh Rehnay Ka Irada Ker Lia Hum Nay
Fughan Bay Kaar Hay Jab Koi Shunwayee Nahin Kerta
Posted 28 Feb 2007

Mysterious Universe



Meditation






Wondrous captives travel, seekers
of the universe, mind travelers, wisdom
found, new pages open, laced with
freedom, new age enchantment...

Gaze, listen, sounds surround each
thought, new visions, new worlds
found in the enchanted universe, old
vision now memories, a start,a new
beginning for travel seekers...

Time, what shall that be! wisdom
conquers, answers now explained,
new foundation, new life, new thoughts
pass into the enchanted universe...

Guide lines surface, love floats in
many directions in the new found
universe of planetary systems, worlds
appearing, survival, a must
to continue, in this mysterious universe..

Lost pasture of memories that use to be
a world of confusion, gone, minds open
wider, understanding deepens in
the spiritual age of knowledge,
universial travel....
Posted 28 Feb 2007

Cut Into My Heart




Cut into my heart so softly, you have
touched me gentely with grace,
for it was you I gave my love to, so
long ago...

Cut into my heart of knowledge, it
was what I knew, to give you, when
life took you down below the footsteps
of melted rock...

Cut into my heart of wisdom, they were
words that made us grow, leaving
the sun, stars, moon a differnt
shade of loveliness, for loving
you made dreams a little
more beautiful..

Cut into my passionate heart, for in loving
will each day be beautiful, casting
forth flames, desire mixed with
tenderness my love..

Cut into my heart, carry me away across
the waters of love's sweet passion,
you and I among Island's of flames
and ash..
Posted 28 Feb 2007

Udaasioon ka sabab jo likhna,
to ye bhi likhna
kay chand taaray,
shahaab ankhien badal gaye hain
wo zinda lamhay jo teri raahon mein
tere anay kay muntazir thay
wo thak kay raahon mien dhel gaye hain
wo teri yaadien, khayal tere,
wo ranj tere, milaal tere
wo teri ankhein, sawal tere
wo tum say mere tamaam
rishtay bichar gaye hain,
ujadh gaye hian
udaasioon ka sabab jo likna
to ye bhi likhna
leraztay hoonton pe larhkharhti,
dua kay soraj
peghal gaye hain
tamaam sapnay he jal gaye hain
baad marnay ke tum meri kahani likna
kese hoi bardaad meri jawani likhna
ye bhi likhna kay mere hoont hansi ko tarsay kese
bahta raha meri ankhoon say pani likna

Posted 28 Feb 2007

Mohabbat hoii hawaoon say
Hawaoon nay rukh badlaa
mein nay mohabbat kii chand say
who her raat chuphtaa rahaa
mein nay subah kay ujaloon say mohabbat kii
magar who andhairoon mein doobtay rahay
Mohabbat hoii sapnoo say who bikharnay lagayy
Apnii mohabbat khwahishaat kay nazar kiii
toooo whoo hasrat bannay lageinnnn
"Ab jaan chukaa hoon itnaa"
sub jhoot hai yehhh
"Mohabbat" kuch bhii nahiii

Posted 28 Feb 2007

Na dil me mael aur na chehre pe mukhote the
Kitni masum thi zindagi jab hum chhote the

Sun le koi mere dil ki thodi si daastaan
Waqt kisi ke paas itna bhi aaj kahan
Sine se laga lete the daud kar sabhi
Pehle kabhi jab hum jab chhoti si baat pe rote the
Kitni masum thi zindagi jab hum chhote the

Ab to pyar dekar bhi mohabbat nahi milti
Waqt to milta hai magar fursat nahi milti
Ek raatein hain ye jo neendo se naata hi tod chuke
Ek din the wo jab hum bade sukuun se sote the
Kitni masum thi zindagi jab hum chhote the
Posted 28 Feb 2007

Tujhe dekhe bina >>!<<


Tujhe dekhe bina Mujhe Neend nahi aati
Tujhe suney bina Mujhe Chain nahi aata
Main ek aag hoon jo Paani ki Pyaasi hai
Main ek Jism hoon jo Dil ka Pyaasa hai
Tujhe Bhoolna Namumkin se Namumkin hai
Tujh se Judai ka mai Soch bhi nahi sakta hoon
Tujhe paana Meri Tammana hai
Tujhe kho dene ka Darr be-had hai
Main kerta hoon Tum se Pyar itna
k ek Nazar mai sab keh dalta hoon
Tujhe dekh ke ek Sukoon sa aata hai
Tujhe se Juda hone ka Darr her Waqt laga rehta hai
Na jane kyon mai Tujhe ko Chahta hoon is kadar
Ke ek baar Tujh mai kho jana chahta hoon
Tujhe Takleef mai dekha na jaye
Mere Ashqon se Paani beh jaye
Tujhe dekhe bina Mujhe Neend nahi aati
Tujhe suney bina Mujhe Chain nahi aata

Posted 28 Feb 2007

aaj ki duniya main tum kabhi pyar mat kerna
pyar ho jaye tu izhar kabhi mat kerna
dhoke dete hain haseen chahre yahan per,
haseen chahron per kabhi aitbar mat kerna
badnaam hone ka dar bhi hota hai aksar yahan
jalte rehna magar didar mat kerna
ehsaan faramosh hain is shahar ke baasi(log)
bhool ker ab kabhi ehsaan yahan mat kerna
Posted 28 Feb 2007

itni masum thi zindagi
Na dil me mael aur na chehre pe mukhote the
Kitni masum thi zindagi jab hum chhote the

Sun le koi mere dil ki thodi si daastaan
Waqt kisi ke paas itna bhi aaj kahan
Sine se laga lete the daud kar sabhi
Pehle kabhi jab hum jab chhoti si baat pe rote the
Kitni masum thi zindagi jab hum chhote the

Ab to pyar dekar bhi mohabbat nahi milti
Waqt to milta hai magar fursat nahi milti
Ek raatein hain ye jo neendo se naata hi tod chuke
Ek din the wo jab hum bade sukuun se sote the
Kitni masum thi zindagi jab hum chhote the

Posted 28 Feb 2007

Aasma ke daricho se Eid ka chaand aaj nikla
en sitaro ki mhfil se ziker uska khaas aaj nikla

log aao aao dekho tu tum usko zara
kitna mhboob lagta hai kiya khoob lagta hai
banke khoshi ka paigaam wo aaj nikla

en baadlo ki chader na lapet saki use
es maosam ki sard hawa na rook saki use
apne mhboob se milne wo khaas aaj nikla

mhndi bhare haat eak duwa maangte hai
tere dil main bas eak jaga maangte hai
leke duwao ka wo raaz aaj nikla
Aasma ke daricho se Eid ka chaand aaj nikla

Posted 28 Feb 2007

Yeh Zaroori To Nahi....



Zinda Dil Hain Hans Kar Do Ghum Seh Lainge
Har Ghum Mein Uska Saath Ho....

Yeh Zaroori To Nahi....

Yoon To Woh Bohat Wafashaar Hain Magar Phir Bhi
Har Kadam Pe Wafa Karein...

Yeh Zaroori To Nahi....

Hosle Aur Bhi Bhar Jainge Shikast K Baad
Jeet Yahan Sada Hamari Ho...

Yeh Zaroori To Nahi...

Shiddat-e-Ghum Mein Insaan Ro Bhi Daita Hai
Samne Uska Aanchal Ho...

Yeh Zaroori To Nahi ...

Nazrain Thi Buss Kya Karti Pathar Ho Gayeen
Uske Baad Kisi Aur Ko Dekhein...

Yeh Zaroori To Nahi...

Hum Ne Hamesha Usse Dil se Chaaha
Woh Bhi Hamain Chahe Dil se...

Yeh Zaroori To Nahi....

Posted 28 Feb 2007

Kiya Tumhain Main Kabhi

To kiya tumhain, main kabhi yaad hi nahi aayea?
Kisi gulaab ki khushboo kay bikharnay par bhi
Zara say aab kay aankhon main utarnay par bhi
Kitaab uthatay huay, Geet koyi gaatay huay

Sanwar ke der talak aa-eenay ko taktay huay!

To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaye?
Subha ko uthtay huay, shaam ko teheltay huay
Neend naa aaye agar karwatain badaltay huay
Kabhi yoonhi kisi makhsoos dhun ko suntay huay
Faarigh oqaat main koyi kitaab parhtay huay!

To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Barastay abr main chhat par kabhi kharay hokar
Kisi kay rooth kay jaanay pay chirchiray hokar
Kisi saheli say bus yoonhi baat kartay huay
Kisi khayal main bethay se uth ke chaltay huay
Kisi bhi raat ko uth kar yoonhi tehltay huay!

To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Akelay yoonhi kabhi apni dhun main chlatay huay
Kisi ki saalgira par yoonhi beheltay huay
Kisi oonchayi pe tanha sambhal ke chartay huay
Utartay chaand ka mojon main aks partay huay!

To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaye?
Kisi gulaab ko tehni se torr kar bhi nahi
Kisi darakht ke saaye main beth kar bhi nahi
Apnay darwazay pe dastak koyi sunkar bhi nahi
Kisi dareecha-e-makaan se jhaank kar bhi nahi?

Apni Kitab main koi naam dekh kar bhi nahi?
Yaad-e-Maazi main kaheen door doob kar bhi nahi
Kisi bhi shakhs ko khamosh dekh kar bhi nahi
Kisi bhi aankh ko num dekh kar bhi nahi
Kahin lafzon main koi A dekh kar bhi nahi
Azaan hotay hi duao main bhi nahi?

To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaye??
Posted 28 Feb 2007

chhatrii lagaa ke ghar se nikalne lage haiN ham
ab kitnii ehtiyaat se chalne lage haiN ham

is darje hoshiyaar to pahle kabhii na the
ab kyuuN qadam qadam pe sambhalne lage haiN ham

ho jaate haiN udaas ke jab do-pahar ke baad
suuraj pukaartaa hai ke Dhalne lage haiN ham

aisaa nahiiN ke barf kii maanand hoN magar
lagtaa hai yuuN ke jaise pighalne lage haiN ham

aaiinaa dekhne kii zaruurat na thii ko'ii
Khud jaante the ham ke badalne lage haiN ham

is kaa yaqiiN aaj bhalaa kis ko aayegaa
ek dhiimii dhiimii aaNch meN jalne lage haiN ham

************************************************************

one more ghazal......

mujhe bujhaa de, meraa dard muKhtasar kar de
magar diye kii tarah mujh ko mo'atbar kar de

merii talaash ko be-naam-o-be-safar kar de
maiN teraa raastaa chhoRuuN to dar-ba-dar kar de

judaaiiyoN kii ye raateN to kaaTnii hoNgii
kahaaniyoN ko ko'ii kaise muKhtasar kar de

tere Khayaal ke haathoN kuch aisaa bikhraa huuN
ke jaise bachaa kitaabeN idhar-udhar kar de
Posted 28 Feb 2007

jaan-nay jaan! "Mujay tum say mohabat hay"
magar main keh nahi paya
woh kagaz ag tak lipta para hay dhool main lakain
kisi ko day nahi paya
dobara cha ker bhi main mohabat ker nahi paya
Posted 28 Feb 2007

MAI IS HISAAR SE NIKLUN TO OR KUCH SOCHUN
TUMHARE PYAR SE NIKLUN TO OR KUCH SOCHUN

TERI GALI KAY ILAWA BHI ORR QARIYE HAIN
JO IS DAYARR SE NIKLUN TO OR KUCH SOCHUN

TUMHARE HIJR KI SADYAN TUMHARE WASL K DIN
MAI IS SHUMAR SE NIKLUN TO OR KUCH SOCHUN

RACHA HUA HAI TERA ISHQ MERI POORON MAI
MAI IS KHUMAR SE NIKLUN TO OR KUCH SOCHUN

YE MUJHMAI KON MERE RAAT DIN SAMBHALTA HAI
IS IKHTIYAAR SE NIKLUN TO OR KUCH SOCHUN

TUMHARE JISM KI KHUSHBOO NE KERDYA MASHOOR
IS AABSHAAR SE NIKLUN TO OR KUCH SOCHUN

YEH BEQARARI MERI ROOH KA UJAALA HAI
MAI IS QARAAR SE NIKLUN TO OR KUCH SOCHUN
Posted 28 Feb 2007

Meri mohabat hay woh
Mari mohabat hay woh, koi majboori to nahi.
woh mujay chahay, ya mill jay zarori to nahi.

yah kuch kam hay kay bassa hay mari sansoon main.
woh samnay ho mari ankhoon kay zarori to nahi.

jaan qurban mari, us ki her muskurahat pay.
chaaht ka takaza hay yahi, Aqal-e-Khurori to nahi.

ab to nikal kay ankhoon say yadoon main ja basa woh.
yahi hay qurbat-e-chaahat, koi dori to nahi.

us kay gar ki tarf utthy hi ruk jaty hain kadam.
badnami say us ki darta hoon, koi mazori to nahi.

keyoon log madhoosh hotay hain mari mahaq say.
dil ki jalan aur ansoaoon ka ater hay, mahaq-e-kafori to nai.

dair karta hoon her kam main katay hain dost mary..
kam aqali hay mari koi shaoori to nahi.

keyoon sulgata hay apnay app ko ay Saadash
dil bhi tara jan bhi tari, koi tandori to nahi.

Posted 28 Feb 2007

woh ek shaks.....
jhooti thi ya sachi thi
mujhko achi lagta thi
aankhain uski kali thi
chehra ujla ujla tha
phool chaman main khilte thay
jab wo khul ker hansti thi
keh deti thi sab kuch hi
dil main kuch kab rakhti thi
kerwi thy guftar bohut
lakin dil ki achi thi
ker leti thi jhagra aur
foren maan bhi jati thi
door bhi hum ho sakte hain
kab humne ye socha tha
kitne pyaare din thay, wo
har dam saamne rehti thi
begana thi lakin, woh
apni apni lagti thi
gulshan uski chahat ka
mere dil main mehka tha
kiya woh aaj bhi aisi hai
jaisa kal tak lagti thi
ya rab usko khush rakhna
har dam jo khush rehti thi


Posted 28 Feb 2007

ham ko to gardish-e-haalaat pe ronaa aayaa
rone vaale tujhe kis baat pe ronaa aayaa

kaise mar-mar ke guzaarii hai tumhe.n kyaa maaluum
raat bhar taaro.n bharii raat pe ronaa aayaa

kitne betaab the rim_jhim me.n piiyenge lekin
aa_ii barsaat to barsaat pe ronaa aayaa

kaun rotaa hai kisii aur ke Gham kii Khaatir
sab ko apnii hii kisii baat pe ronaa aayaa

ye din to qayaamat kii tarah guzaraa hai
jaane kyaa baat thii har baat pe ronaa aayaa

Posted 28 Feb 2007

Judayee Mujh Mein Aur Un Mein Kahan Hay

Faqat Meri Mohabbat Darmiyan Hay



Zabanoun Pe Jo Shor-e-Do-jehan Hay

Hamari Aur Tumhari Daastan Hay



Zabaan Honey Pe Bhi Dil Be-Zabaan Hay

Mohabbat Khamoshi Ka Imtihaan hay



Waheen Bastey Jahan Jalwa Hay Un Ka

Waheen Rehtey Hamara Dil Jahan Hay



Jabeen Rakhi Na Thi Jab Tak Jabeen Thi

Magar Ab Astaan He Astaan Hay



Qafas Mein Aagaye Hein Ashiyaan Se

Qafas Se Chhoot Kar Phir Ashiyaan Hay



Nayee Dunya Banadey Muskara Kar!!

Tabassum Mein Terey Dunya Nehaan Hay



Shab-e-Gham Zehar Pi Kar Dekhta Houn

Meri Nakamiyoun Ki Hadd Kahaan Hay



Badal Li Hein Nigahein Uss Ne Jab Se

Zamin Woh Hay Na Ab Woh Asmaan Hay
Posted 28 Feb 2007

KUCH LOG BAHUT YAAD AATEY HAIN
Kuch log bahut yaad aatey hain
jo door ufaq per rehtey hain
Woh log jo merey apney the
Kion hanste hanste rooth gaey
Tarrpatey hain siskatey hain
Kuch log bahut yaad aatey hain
Ik roz main yunhi shaam dhaley
bas tanha tanha betha tha
Tab chand mujhe uljha sa laga
Aur mujh se aakhir kehney laga
Maloom hai kuch tum ko Ali
Woh log jo merey apney they
Kion aakhir mujh se rooth gaey
Main her shabb dhundta rehta hun
Per mushkil hai
Tarrpatey hain siskatey hain
Kuch log bahut yaad aatey hain

Posted 28 Feb 2007

aik hii muzhdah subh laatii hai
sehn meN dhuup phail jaatii hai

kyaa sitam hai ke ab terii suurat
Ghaur karne pe yaad aatii hai

sochtaa huuN ke us kii yaad aaKhir
ab kise raat bhar jagaatii hai

us vafaa-aashnaa kii furqat meN
Khvaahish-e-Ghair kyuuN sataatii hai

kaun is ghar kii dekh-bhaal kare
roz ek chiiz TuuT jaatii hai

*********************************

jab terii jaan ho gayii hogii
jaan hairaan ho gayii hogii

shab thaa merii nigaah kaa bojh us par
vo to halkaan ho gayii hogii

uskii Khaatir hu'aa maiN Khaar bahut
vo merii aan ho gayii hogii

ho ke dushvaar zindagii apnii
kitnii aasaan ho gayii hogii

be-gilaa huuN maiN ab bahut din se
vo pariishaan ho gayii hogii

ek havelii thii dil muhalle meN
ab vo viiraan ho gayii hogii

uske kuuche meN aayii thii ShiiriiN
uskii darbaan ho gayii hogii

kamsinii meN bahut shariir thii vo
ab to shaitaan ho gayii hogii
*****************************
kis se izhaar-e-muddaa kiije
aap milte nahiiN haiN, kyaa kiije

aap the jiske chaaraagar vo javaaN
saKht biimaar hai, du'aa kiije

mujh ko aadat hai ruuTh jaane kii
aap mujh ko manaa liyaa kiije

milte rahiye isii tapaak ke saath
be-vafaa'ii kii intihaa kiije

aik hii fan to hamne siikhaa hai
jis se miliye use Khafaa kiije
Posted 28 Feb 2007

jo bhii ghar se jaataa hai
ye kah kar hii jaataa hai
"dekho, mujh ko bhuul na jaanaa
maiN phir lauT ke aauuNgaa
dil ko acche lagne vaale
laakhoN tuhfe laauuNgaa
naye naye logN kii baateN
aa kar tumheN sunaauuNgaa"
lekin aaNkheN thak jaatii haiN
vo vaapis nahiiN aataa hai
log bahut haiN aur vo akelaa
un meN gum ho jaataa hai
Posted 28 Feb 2007

raat falak par rang-birangii aag ke gole chhuuTe
phir baarish vo zor se barsii mahek uThThe gul-buuTe

us kii aaNkh ke jaaduu kii har aik kahaanii sacchii
mere dil ke KhuuN hone ke sab afsaane jhuuTe

pahle-pahal to jii na lagaa pardes ke in logoN meN
raftaa-raftaa apne hii ghar se saare naate TuuTe

ye to sach hai sab ne mil kar dil-jo'ii bhii kii thii
apnii rusvaa'ii ke maze bhii sab yaadoN ne luuTe

maiN jo "Munir" ek kamre kii khiRkii ke paas se guzraa
us kii chiq kii tiiliyoN se resham ke shiGhuufe phhuTe

Munir Niazi

********************************************
haiN aabaad laakhoN jahaaN mere dil meN
kabhii aao daaman-kushaaN mere dil meN

utartii hai dhiire se raatoN kii chup meN
tere ruup kii kahkashaaN mere dil meN

ubhartii haiN raahoN se kirnoN kii lahreN
sisaktii haiN parchhaiiyaaN mere dil meN

zamaane ke lab par zamaane kii baateN
merii dukh-bharii daastaaN mere dil meN

ko'ii kyaa rahegaa jahaaN-e-fanaa meN
raho to raho jaavidaaN mere dil meN

Poet Munir Niazi
***************************************


ab bhii tauhiin-e-ita'at nahiiN hogii hamse
dil nahiiN hogaa to ba'it nahiiN hogii hamse

roz ek taazah qasiidah nayii tashbiib ke saath
rizq bar-haq hai ye Khidmat nahiiN hogii hamse

dil ke ma'abuud, jabiinoN ke KhudaaoN se alag
aise aalam meN ibaadat nahiiN hogii hamse

har nayii nasl ko ek taazah madiine kii talaash
saahebo! ab ko'ii hijrat nahiiN hogii hamse
Posted 28 Feb 2007

ye jiit-haar to is daur kaa muqaddar hai
ye daur jo ke puraanaa nahiiN nayaa bhii nahiiN
ye daur jo ke sazaa bhi nahiiN jazaa bhii nahiiN
ye daur jiskaa ba-zaahir ko'ii Khudaa bhii nahiiN

tumharii jiit ah'm hai na merii haar ah'm
ke ibtidaa bhii nahiiN hai ye intihaa bhii nahiiN
shuruu ma'arka-e-jaaN abhii hu'aa bhii nahiiN
shuruu ho to ye hangaam-e-fasilaa bhii nahiiN

payaam zer-e-lab ab tak hai Suur-e-Israafiil
sunaa kisii ne kisii ne abhii sunaa bhii nahiiN
kiyaa kisii ne kise ne yaqiiN kiyaa bhii nahiiN
uThaa zamiiN se ko'ii, ko'ii uThaa bhii nahiiN

qadam-qadam par diye haiN vo rahzanoN ne fareb
ke ab nigaah meN tauqiir-e-rahnumaa bhii nahiiN
use samajhte haiN manzil jo raastaa bhii nahiiN
vahaaN lagaate haiN Deraa jahaaN vafaa bhii nahiiN

ye kaarvaaN hai to anjaam-e-kaarvaaN maaluum
ke ajnabii bhii nahiiN ko'ii aashnaa bhii nahiiN
kisii se Khush bhii nahiiN hai ko'ii Khafaa bhii nahiiN
kisii kaa haal ko'ii muR ke puuchtaa bhii nahiiN
Posted 28 Feb 2007

havaa-e-shauq ke rangiiN dayaar jalne lage
hu'ii jo shaam to jhakkaR ajiib chalne lage

nasheb-e-dar kii mahek raaste sajaane lagii
faraaz-e-baam ke mahtaab dil meN dhalne lage

vahaaN rahe to kisii ne bhii haNs ke baat na kii
chale vatan se to sab yaar haath malne lage

abhii hai vaqt chalo chal ke us ko dekh aayeN
na jaane shams-e-ravaaN kab lahuu ugalne lage

"Munir" bhuul se chehre pe ashk Dhalke haiN
ke jaise la'al samm-e-rang(?) se piGhalne lage

Posted 28 Feb 2007

WHERE THERE'S A WILL, THERE'S A WAY


You are never given a wish
without also being given the power to make it come true.

The achievement of your goal is assured
the moment you commit yourself to it.
If you have the desire, you have the power to attain it.

You can have anything you want in life
if you will sacrifice everything else for it.
Your dreams can come true if you pursue them.
--
Posted 28 Feb 2007

~tasha~ says
oh so many

gimme time to read
Posted 28 Feb 2007

cutefriend says
Posted 01 Mar 2007

~tasha~ said:

oh so many

gimme time to read



you'll get time to read...
Posted 01 Mar 2007

Reply to Topic