~ LG’s Poetry Compilation ~

60330 views 2476 replies
Reply to Topic
London_Girl

Age: 124
Total Posts: 18948
Points: 0

Location:
United Kingdom, United Kingdom
Muskura Kar Mila Karo Ham Se
Kuch KAha Aur Suna Karo Ham Se

Bat KArne Se Bat Barhti Hai
Roz Baatain Kiya Karo Ham Se

Dushmani Se Mile ga Kiya Tum Ko
Dost Ban Kar Raha Karo Ham Se

Daikh Laite Hain Sat Pardon Main
Yun Na parda Kiya Karo Ham Se
Posted 29 Sep 2006

Meri Zindagi Hai Wo...!!!


Mujhey lagta hai aisa kabhi kabhi
Jaisy woh ajnabi larki
Mujh sey pyar karti hai
Mujhey chahti hai


Akser yunhi chup chup ker
Dekhti hai, janey kiya sooch ker
Nazrein chura jati hai
Kuch ghabra si jati hai


Apney aanchal ko hawaoon k zoor
per lehrati hai
Mehsoos mujhey yeh hota hai k
Shayad mujhey woh bohat chahti hai


Mujhey aisa ehsas dilati hai jesay
Woh mujh sey kuch kehna chahti hai
Meray pochnay per kuch sharma si jati hai
Kuch ghabra si jati hai

""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""
dil lagi main dil laga behtay
jis say piyar kya usi say dhoka kha behtay

ju diye jalaye thay piyar ki raah main

unhi say apna ashiyan jala behtay

jis ki chahat main jaan tak luta di

usi piyar kay hathon chot kha behtay

Posted 19 Feb 2007

"bhag jana me or bhi tum se tu hain megar
har phool me kahan hai nazakat gulab ki

***********************************

be atbar waqat pe jhnjela ke roo pare
kho kar tuje kabhi tu kabhi pa kar roo pere
khoseyan humare pas knha mustekil rehin
bahir kabhi hanse bhi tu ghar aake roo pere

***********************************

lehroon me dubte rehey derya nahi mela
is se bechar ke phir koi vysa nahi mela
kuch log thori deyar ko ache leghe megar
hum jis ke ho sekhe koi vysa nahi mela

***********************************

tu kush rehe humesha sedha de geya muje
ik ajnebi tha koi dua de geya muje
me apne muskorane ko samjti thi ik kushi
ansoo gera tu gum ka peta de geya muje
***********************************

temana wo temana hai jo dil ki dil me reh jaye
jo mar kar bhi na pora ho ose arman khte hain

***********************************

zalim ke atbar me lezzat hai kiya keron
ankhoon ko intezar ki aadat hai kiya keron

***********************************

jis negri me hum rehte hain pathar geet sunate hain
atni sard hewa hai bahir ansoo tak jam jate hain
***********************************

ik hadsa hai ye bhi meri zandgi ke sath
dil mera tere sath hai tu hai kesi ke sath

***********************************

marne ka tere gum me aeradha bhi nahi hai
hai ishq megar itna zeyadha bhi nahi hai

***********************************
Posted 19 Feb 2007

When I say I love you I
do But this with you will not
do I need someone I can lean
on Someone I can count on
too Yes you are there sometimes
For that I am grateful to you
But I need someone there full time
And that you can not do You told me
once you loved me
That I could believe in you
I was there when you needed someone
Where were you when
I needed someone, too?
The time has come for me to let go
Never to expect you to care again People
may come and people may go But my love.........
Posted 19 Feb 2007

AANKHEEN,
YEH AANKHEN BUHAT SATATI HAIN,

Yaadon ke khuwaab dikhati hain
Mujhe saari raat jagati hain

Kab Dil ke raaz chhupati hain
Palkon ke dareeche kholti hain

Kuch apni zaban main bolti hain
Bas apni baat manwati hain
YEH AANKHEN BUHAT SATATI HAIN,
Ek aan mein faisla karti hain
Yeh kab ruswayi se darrti hain

Yeh ghungroo baandh nachati hain
Her waqt yeh jaagti rehti hain

Ek khoj mein bhaagti rehti hain
Thak haar ke wapis aati hain
YEH AANKHEN BUHAT SATATI HAIN,
Chupke se kahin larr jaati hain
Phir khuwabon se bhar jaati hain
Jab toote shor machati hain

Yeh royen to Dil bhi rota hai
Kab in se judda yeh hota hai
Yeh Dil ko rog lagati hain

Kyun pyaar kiya pachtati hain
YEH AANKHEN BUHAT SATATI HAIN,
Posted 19 Feb 2007

HÄÏ ÄßHÏ LÄM§ KÄ £H§Äħ

Chup ke Alam mein Wo Tasweer Si Surat Os ki
Bolti hai to badal Jati hai Rangat Os ki

Seeriya char thy Achanak Wo mili thi mujh ko
Oski Awaz mein moujood Thi Herat Os ki

Haath Choolo To Laraz jati hai Pattay ki Tarha
Wohi Na-karda Gunahee pay Nidamat Os ki

Khud Wo Aghosh Kushada hai Jazeeray ki Tarah
phele Daryao ki Manind Muhabat os ki

hai abhi Lims ka Ahsaas mere Honto par
Sabt pheli hui Bahon pay Hararat Os ki

Wo Agar Ja bhi Chuki hai To Na kholo Ankhein
Abhi mehsoos kiye jao Rafaqat Os ki

Dil Dharakta hai To Wo Aankh Bulati hai Mujhe
Saans Ati hai , To milti hai Bisharat Os ki

Wo Kabhi Ankh bhi jhapkay to Laraz Jata hoon
Mujh ko is se bhi Ziada hai Zaroorat Os ki

Posted 19 Feb 2007

Phir wehshat bhari tanhayi hai
Phirse veeran dar-o-deewar hue

Phirse toota koi anmol sa khuwab
Phirse ankon mein dilkashi na rahi

Phir meri aah jalagi mujhe
Phir kisi dasht ki yaad ayegi

Aur kisi raah pe chalte chalte
Duur ja ker kahien kho jaoonga

Phir koi baat satayegi mujhe
Phir kisi roz palat aoonga

Mere wajood se aey lipti hui
Meri fitrat yeh batade mujhko

Phir kisi justujoo mein parh jaoon
Phir nayi manzilein talash karoon

Aur ager phirbhi sath sath chale
Raat din ka Safer khatam na ho

Aane jane ki baat chalti rahe
Phir bhi saawan ka intezar karoon

Aisi manzil ka aetbaaar karoon....?

Posted 19 Feb 2007

JÖ M£R£ ÐÏL K THÄ QÄR££ß

Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya.



Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.

Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.

Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya.

Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu boht yaad aaya.
Posted 19 Feb 2007

Ä£¥ M£RÏ MÖHÄßßÄT §ÜN

Aihad nibhaney ki khatir mat ana

Aihad nibhaney waley akser
Majboori ki thaken sey lota kertey hien
Tum jaao aur daria daria piyaas bhoojaao
Jin aankoun mey doobo
Jis dil mey bhi utro
Mey awaz na doungi
Lekin jab meri chahat aur meri khawish
Itni teiz aur itni oonchi ho jaiey
Jab dil ro dey
TAB LOT ANA
AEY MERI MOHABBAT TUM SUN RAHEY HO NA????
HAAN TUM SUN RAHEY HO
KUEN KEY MERA DIL JO RO RAHA HEY
Posted 19 Feb 2007

GooD FriendS......!!!!!!
Good Friends Are Hard To Find.
Good Friends Are Easy To Love.
Good Friends Are Presents That
Last Forever And That Feel
Like Gifts From Above


Good Friends Are One In A Million.
Good Friends Are Stories To Share.
Good Friends Know The Path To Your
Happiness, And They Walk With You
All The Way There.


Good Friends Are Lives Overlapping.
Good Friends Are Laughter And Tears.
Good Friends Are Emotions So Deep
That The Trust Just Keeps Growing
Over The Years.


Good Friends Are Hard To Find.
Good Friends Are Easy To Adore.
And You've Been
Such A Good Friend To Me
...That I Could Ask
For Nothing More.


Thanks for Being
Such a Wonderful Friend!!!!!
Posted 19 Feb 2007

Posted 19 Feb 2007

thanx MG
Posted 27 Feb 2007

Is Dil Ne Dharakna

Jis Din Se Juda Woh Hum Se Hue
Is Dil Ne Dharakna Chor Diya
Hey Chand Ka Mon Utra Utra
Taroon Ne Chamakna Chor Diya


Woh Pass Humare Rehte Hein
Berut Bhi Bahar Aajati Hai
Ab Laakh Baharein Aayein To Kia
Phoolon Ne Mehakna Chor Diya   



Humne Yeh Dua Jab Bhi Mangi
Taqdeer Badal De Ae Maalik
Awaz Aayi Ke Ab Humne....
Taqdeer Badalna Choor Diya   


Humrah Koi Saathi Bhi Nahi
Ab Yaad Koi Baqi Bhi Nahi
Ab Phool Khile Zakhmoo Ke Kia
Aankhoon Ne Barasna Chor Diya   
Posted 27 Feb 2007

DAHARKEN

mere aehbab aaye hain
merey paas meri jaan
bohat hamdardion ki aar main
tanz k nashtar chubhone ko
teri chahat se mujh ko bad guman karne
teri khamoshiyon ko bewafaey naam dene
ko
magar kese samajh paian ge yeh nadan
k jis din bad gumani dil main aaye gee
yeh daharken bhi wahin mer jaye gee
Posted 27 Feb 2007

Kesa Lage Ga

an jaoon agar Tum sa, kesa lagega?
Her Pal rahoon Tum se Khafa, kesa lagega?
Parhte ho Mujhe Tum Namazon ki tarah se
Ho jaoon agar Tum se Qaza, Kesa lagega?
Tum Pyar mai khood ko mitaane per ho Raazi
Ban jaye agar Pyar Saza, Kesa lagega?
Khud se b ziada ho Yaqeen Tum ko kisi per
Wo Shakhs hi de jaye Daga, Kesa lagega?

Tum auron ki Mehfil mai Diya ban k jalo
Aur Tanhai mile Tum ko To phir, Kesa lagega?
Posted 27 Feb 2007

Ajab pagal si larki hai
Ajab pagal si larki hai
Mujhay her roze kehti hai
Batao kuch naya likha?
Kabhi is say yeh kehta hoon
K main nay nazam likhi hai
Magar unwan daina hai
Bohat baytab hotti hai
Woh kehti hai
Sunao
Main issay acha sa ikl unwan daiti hoon
Woh meri nazam sunti hai
Aur iss ki boalti ankhain
Kissi missra kissi tashbeeh per un muskurati hai
Mujhay lafzoon say kirnain phoothti mehsoos hotti hai
Woh phir iss nazam ko acha sa ik unwan daiti hai
Aur is k akhiri missra k neechay
Ik adaay baynayazi say
Woh apna naam likthi hai
Main kehta hoon
Sunoo
Yeh nazam meri hai
To phir tum nay appnay naam say mansoob ker li hai
Meri yeh baat sun kar uss ki ankhain muskurati hai
Woh kehti hai sunoo
Sadda sa rishta hai
K jaisay tum meray ho is terhan yeh nazam meri hai
Ajab pagal si larki hai

Posted 27 Feb 2007

Aur Chaand Raat hai...


Mein hoon tera khayal hai aur chaand Raat hai...
Dil dard se nidhaal hai aur chaand raat hai...
Aankhon mein chubh gayein teri yaadon ki kirchiyan...
Kandhon pe gham ki shaal hai aur chaand Raat hai...
Dil tor ke khamosh nazaron ko kiya mila...
Shabnam ka ye sawal hai aur chaand Raat hai...
Phir titliyan si urne lagein dasht-e-khuwaab mein...
Phir khuwahish-e-wisaal hai aur chaand Raat hai...
Campus ki nehar per hai tere haath haath mein...
Mausam bhi lazawal hai aur chaand Raat hai...
Har aik kali ne orh liya matami libaas...
Har phool per malaal hai aur chaand Raat hai...
Meri to por por mein khush si bas gayi...
Us per tera khayal hai aur chaand Raat hai...
Chalka sa par raha hai 'wasi' wehshaton ka rang...
Har cheez pe zawwal hai aur chaand Raat hai...

Posted 27 Feb 2007

Na koi Saheli thi...

Na koi khuwaab na koi saheli thi...
Is muhabbat mein, mein akeli thi...
Ishq mein tum khaan ke sache the...
Jo azziyat thi hum ne jheli thi...
Yaad ab kuchh nahin raha lekin...
Aik darya tha ya haweli thi...
Jjis ne uljha ke rakh diya dil ko...
Woh muhabbat thi ya paheli thi...
Mein zara si bhi kam wafa kerti...
Tum ne to meri jaan leli thi...
Waqt ke saanp kha gaye us ko...
Mere aangan mein aik chanbeli thi...
Is shab-E-gham mein kis ko batlaoon...
Kitni Roshan meri Hatheli thi...

Posted 27 Feb 2007

kal ajab saniha hoa

kal ajab saniha hoa Rait per...
Naam tera likh nahin saka Rait per...
Kis ki awaaz se tham hain qadam...
Phir se kis ne mujhe di sada Rait per...
Us ki aankh se sholey nikalte Rahe...
Naachti reh gayi kal ghata Rait per...
Tu ne jo bhi hawa se kaha Reh gaya...
Mit gaya mein ne jo bhi likha Rait per...
Mein tumhein choomna chahta hoon abhi...
Us ne mujh se ye aik din kaha Rait per...
Ab ye sehra hi tere muqaddar mein hai...
Tune maangi hi kion thi duaa Rait per...
Aik shola utha us jaga se 'wasi'...
Mera ansoo jahan gir gaya Rait per...

Posted 27 Feb 2007

Darwaze se lag ker soye...

Hum tere khuwaab ke darwaze se lag ker soye...
Shehar betaab ke darwaze se lag ker soye...
Aate jaate hoe sab ne humein dekha aur hum...
Dukh ke mehtaab ke darwaze se lag ker soye...
Hum to sehraon ke mausam mein bhi tere baa-is...
Khuwahish-o-khuwaab ke darwaze se lag ker soye...
Maal daron ko bhala chen kahan tha woh to...
Maal-o-asbaab ke darwaze se lag ker soye...
Hum bhi masoon buhat the so buhat muddat tak...
Ya ehbab ke darwaze se lag ker soye...
Mustaqil roti hoi aankhon se liptey hoe khuwaab...
Jaisay selaab ke darwaze se lag ker soye...
Baad mein tera ghum soche ga aakhir ik din...
Kis ke aasaab ke darwaze se lag ker soye...

Posted 27 Feb 2007

SarDiyon ka Mausam Hai...

Gul-e-zaban pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Tumhari "HAAN" pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Darakht per jo kabhi chooriyon se daala tha...
Us aik nishaan pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Ye aik hum ke nayi boliyan sada bolein...
Teri zaban pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Sulag rahi hain zehan mein qubayein lafzon ki...
Magar zuban pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Tumhare aane pe Sooraj ke haath chamkenge...
Mere makaan pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Har aik simt pighalne lage hain Sannate...
Tere bayan pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Jahan jahan teri khushbu ke Rang bikhrey hain...
Wahan wahan pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Teri judayi ke pal se hoa hai ishq hunoot...
Ke is jahan pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Woh "HAAN" karegi baharon mein us ka wada tha...
Us aik "HAAN" pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Woh mujh ko sonp gaya furqatein december mein...
Darakht-e-jaan pe wohi Sardiyon ka mausam hai...
Hamare lab to Duayein jalaye rakhte hain...
Per Asmaan pe wohi Sardiyon ka mausam hai...

Posted 27 Feb 2007

Tum rooth jao mujhse
aisa kabhi na kerna

main ik nazar ko tarsoon
aisa kabhi na kerna

main pooch pooch haroon
so so sawal kar k

tum kuch jawab na do
aisa kabhi na kerna

mujhse hi mil k hansna
mujhse hi mil k rona

mujhse bicher k jee lo
aisa kabhi nakerna

tum chand ban k rehna
main daikhta rahoon ga

kisi roz tum na niklo
aisa kabhi na kerna

tum chalay jao jab bhi
tu dekhoon tumhara rasta

tum loat k na aao
asia kabhi na karna....

Posted 27 Feb 2007

Har zara-E-umeeD

Har zara-e-umeed se khushbu Nikal aaye...
Tanhayi ke sehra mein agar tu Nikal aaye...
Kaisa laga is baar agar mausam-e-gul mein...
Titli ka badan orh ker jugnu Nikal aaye...
Phir din teri yaad ke munderon pe guzara...
Phir shaam hoi aankh se aansoo Nikal aaye...
Bechain kiye rehta hai dharka yehi jee ko...
Tujh mein na zamane ki koi khoo Nikal aaye...
Phir Dil ne kiya tark-e-taalluq ka irada...
Phir tujh se mulaqat ke pehloo Nikal aaye...

x............x............x

Posted 27 Feb 2007

Tum ho ke to dunyaa se bay-zaar kabhi daiho
Aankho'n mai'n kabhi utro, uss paar kabhi daikho

Aansoo ki haqeeqat to, hai zakhm se paiwastaa
Garr rooh pe tum khaa ker, ik baar kabhi daikho

Ho aankh jaha'n dard to aansoo ho kahaani
Aisee bhi koee dunyaa ik baar kabhi daikho

Dil toot na jaay gaa, garr tum jo kabhi khud ko
Aaeena-e-dunyaa mai'n bay-kaar kabhi daikho

Daikho gay kabhi tum bhi, ik doobti nayya ko
Saahil pe kharay ho ker ik baar kabhi daikho

Woh mujh se ye kehtay hai'n, chhoro ye ajab baatai'n
Jazbaat ki lughat mai'n, tum pyaar kabhi daikho

Parhtay jo meri aankhain, to jaan ye laitay woh
Kuchh log nahi'n kertay izhaar kabhi daikho

Auro'n ki tarah tum bhi, boli naa lagaa daina
Baahar jo mere ghar ke khareedaar kabhi dakho

Iss shor mai'n tum meri aawaaz dabaa dainaa
Garr log samaa'at se bay-zaar kabhi daikho

Bojhal jo meri aankhain daikhai'n to wo kehtay hain
Tum so ke to abb Areeb ik baar kabhi daikho

Posted 27 Feb 2007


Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain...
Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain
Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko...
Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hain
Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey...
Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hain
Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay...
Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hain
Zindagi ek sulgati see chita hai `Dosto'...
Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain
Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti hain..!!
x............x............x

Posted 27 Feb 2007

MAINEY TUM KO YAAD KIYA

CHAHAT K IS DERYAA PER
DERYAA AUR KINAREY PER
DIL AAJ AZAAD KIYA
MAINEY TUM KO YAAD KIYA...

TANHAII KI RATOON MAIN
KHUD HI BATOON BATOON MAIN
IS DIL KO SHAAD KIYA
MAINEY TUM KO YAAD KIYA...

JAAB SE TUM KO DEKHAA HAI
JAAB SE TUM KO CHAHAA HAI
HER AIK PAL FERYAAD KIYA
MAINEY TUM KO YAAD KIYA...

IS JEEWAN KI NISABOON MAIN
AUR RATOON K KHAWABOON MAIN
JAAG K BHI DIL SHAAD KIYA
MAINEY TUMKO YAAD KIYA...

PHOOL YE KHILNEY SE PEHLAY
TUM KO MILNEY SE PEHLAY
KHUD KO YUN BERBAAD KIYA
MAINEY TUM KO YAAD KIYA

Posted 27 Feb 2007


Shama kahi bhi jal sakti hai,
kashti kahi se bhi nikal sakti hai,
ae mare dost fikar na kar
kismat kahi bhi chamak sakti hai,

x............x............x

Posted 27 Feb 2007


KHUDA SAY MAIN NAY IK DUA MANGI,

DUA MAIN APNI MOOT MANGI,

KHUDA NAY KAHA MOOT TO MAIN TUMHAIN DAY DOON,

MAGAR US KA KIA KAROON JIS NAY DUA MAIN TUMHARI

LAMBI UMER MANGI

Posted 27 Feb 2007


I WISH YOU

*""v""*

". ' ."

'v'

happiness,





success,











and





appreciation- of





all the wonderful things

about YOU!
Posted 27 Feb 2007

Kal Hamesha Ki Tarah…

Kaha Uss Ne Ye Online Hokar

Mein Bohat Masroof Houn,

Mujh Ko Bohat Se Kaam Hein

Iss Lieye Mein Tum Se Baat Nahee Karsakti

Har Riwayat Ko Tord Kar Iss Baar Mein Ne Keh Diya

Tum Jo Ho Masroof Tou Mein Bhi

Bohat Masroof Houn

Tum Jo Ho Mashsoor Tou Mein Bhi

Bohat Ma'roof Houn

Tum Agar Ghamgin Ho Tou Mein Bhi

Bohat Ranjour Houn

Tum Thakan Se Choor Tou Mein Bhi

Thakan Se Choor Houn

Jan-e-Man Waqt Hey Mera Bhi Bohat Qeemati

Kuch Puraney Dostoun Ne Milney Ana Hey Abhi

Mein Bhi Ab Farigh Nahee,

Mujh Ko Lakhoun Kaam Hein

Warna Kehney Ko Tou

Sab Lamhe Tumharey Naam Hein

Meri Aankhein Bhi Bohat Bhojal Hein,

Sona Hey Mujhey

Rat-jagoun Ke Ba'ad Ab

Neendoun Mein Khona Hey Mujhey

Mein Lahoo Apni Anaaun Ka Baha Nahee Sakta

Tum Nahee Karsakti Baat

Tou Mein Bhi Khun Apna Jala Nahee Sakta

Uss Ko Ye Keh Kar Mein Hat Gaya

Aur Phir Ana Ke Paaun Mein Sar Rakh Diya

Posted 27 Feb 2007


NA SHIKAYTIEN



Na shikaayatein, na gilaa karey

Koi aisa shakhs hua karey



Jo merey liye hee saja karey

Mujh hee sey Baatein kiya karey



Kabhi royey jaaey woh bepanaah

Kabhi be-tahaasha udaas ho



Kabhi chupkey chupkey dabey qadam

Merey peechay Aa kar, hansa karey



Meri qurbatein, meri chaahatein

Koi yaad kare qadam qadam



Mein taveel safar mein hoon agar

Meri waapsi ki Dua karey



Na shikaayatein, na gilaa karey

Koi aisa shakhs hua karey

Posted 27 Feb 2007

Reply to Topic